Chapter 6
Chapter 5
Snake valley se niklne ke baad ab Aiyna or Arshuman cold area mein puhanch chuke hain Aiyna apne haat maltey howey : yaha TU buhat sardi hai. Arshuman:tum kah TU tikh rehi ho yaha khadey ho pana buhat mushkil hai kaya Tumhe zayada sardi lag rehi hai ? Aiyna:NAHI mei tikh hon Lekin yeh snow pond KAHA ho ga? Arshuman:mei map mein dakhta hon (Arshuman map khole ker dakhta hai )yeh map TU yaha ki hi location bata reha hai Chalo thuda agay ja ker dakhte hain. Aiyna:tikh hai . Aiyna or Arshuman waha chal rehey hain or magical snow pond ko talash ker rehey hain waha her tarf barf hi barf hai cold air is bollowing cold area mein Kafi dare chalney ke baad Aiyna or Arshuman ko Kafi sardi lagh rehi thi or UN ke mun se sans Leney per dunwa Nikal reha tha Aiyna or Arshuman chaltey ja rehey thay agir kar wo wahan puhanchey Jahan magical snow pond tha jaise hi Aiyna or Arshuman ne magical snow pond ke karib foot Rekha TU wahan ka rekshak jage gaya wo rekshak (guard) Aiyna or Arshuman ke kadmon ki ahat per uth khada howa it was very big and made of ice wo Aiyna or Arshuman ko waha dakh ker gussa hogaya or bula kon ho tum donnon ?or yaha kaya Leney aey ho? Arshuman:mei Arshuman hon or yeh Meri behan Aiyna hai or ham yaha hearts lene aey hain . Guard:mei yaha ka rikhwala hon or mei tum donnon ko yaha se Kuch bi NAHI lejaney don ga. Yeh kah ker guard Aiyna or Arshuman per hamla ker deta hai Aiyna or Arshuman ko nichey zamine per petak data hai Aiyna or Arshuman badi zore se zamin per gir jatey hain . Arshuman: Aiyna bagho Aiyna or Arshuman bagh rehay hotey hain or guard on donnon ke pichey HOTA hai ab Aiyna or Arshuman ne apni talwareyn nikaleen or guard per hamla ker diya guard buhat bada tha us se ladna bi buhat mushkil tha Aiyna or Arshuman ka her war Khali Chala jata or guard UN per APNA hamla ker deta Arshuman or Aiyna us ke hamley se khud ko bacha rhey thay ab Aiyna ne apni talware se us guard ka foot kat diya guard ne Aiyna ko apney haat mein pakhd liya or zoor se apne haat mein Aiyna ko maslney Laga Arshuman:chudo Aiyna ko Lekin us guard per Arshuman ki Kisi bi baat or Arshuman ke waar ka aser NAHI ho reha tha Arshuman ke zahen mein Ifra ke baba badshah ki di hoi pin aiy us ne pin nikali or us guard ki leg mein zoor se mar di guard Dard se chalaya or Aiyna ko nichey pankh diya or khud water Ben ker nichey flow hogaya ab Arshuman Aiyna ki tarf bada or usey oper utaya Arshuman: Aiyna tum tikh ho? Aiyna:ha!mei tikh hon Chalo chaltey hain wo donnon magical snow pond ki tarf badey jaise hi wo magical snow pond ke pas puhanchey waha foot rekhtey hi barf toti or wo donnon nichey chaley gay wo ek slide pipe ki tarha bana howa tha Aiyna or Arshuman waha se slide ho ker ek cave main chaley gay waha buhat zayada serdi thi waha ice glow ker rhi thi jis ki wajha se us cave mein Roshni thi Aiyna:yeh konsi jagha hai? Arshuman: mujhe legta hai ke ham magical snow pond ke ander achukey hain Chalo thuda agay ja ker dakhte hain wo donnon waha per chaltey chaltey ek badi SI cave mein puhanchey Jahan Jin ki bethiyon ke hearts thay sab ke hearts ice mein jamey howey thay Aiyna: mujhe lagta hai ke yahi sab ke hearts hain Lekin yeh TU ice box mein close hain . Arshuman magical pin Nikal ker:shaide is se kaam ban Jay Arshuman ice box per magical pin Rekhta hai or ice box melt ho jata hai aise hi wo sarey hearts ko ice boxes se Nikal letey hain sarey hearts nikalne ke baad Aiyna:Lekin ham in hearts ko leker kaise jaye gay? Arshuman:tum ne sahi KAHA kaise leker jayn gay?unhon ne puri cave mein nazer dudai or UN ko ek box nazer Aya Arshuman wo box utha ker laya or usey khola TU us ke ander chamkti hoi ice thi aise lag rha tha jaise diamond us box mein ho Aiyna or Arshuman ne bari bari sarey hearts us box mein rekhey or us cave se bahir aney ka rasta tilash kerney lagey. Aiyna or Arshuman ne mape nikala or waha se bahir niklne ka rasta pucha wo magical mape tha use kholne ke baad jis place ka Naam lo us ki location us mape per ajati thi mape per Rasta dakhtey howe wo donnon waha se bahir agay or wapis Jin ke mehal ki tarf chal padey ...ab Aiyna or Arshuman Jin ke mehal puhanch chuke thay Jin UN donnon ko dakh ker buhat Khush howa Aiyna or Arshuman ne Jin ko sab ke hearts dikhaye Jin ki khushi ka TU tikhana hi NAHI tha or Jin bula tum donnon ka shukriya AJ Kafi arsey ke baad mei apni bethiyon se mill paon ga UN se baat ker paon ga Jin ne sab ke hearts apney magic se sab mein dal diye or ek Roshni UN ke gird gomney lagi or ice statues phir se Jin ki bethiyon mein tabdil ho gay sabhi behanon ne apni eyes open ki or khude ko pehley jaisa dakh ker Khush hoee sab agay badhey or ek dosrey ko galey lagaya Lekin Muskan apni galti per sherminda khadi thi ab sab mud ker Muskan ko dakhney lagay Muskan:mei ne Jo Kiya wo mujhe NAHI kerna chahiye tha us ke liye mei buhat sherminda Hoon or aap sab se maafi mangti Hoon mujh se TU yeh donnon bachey hi achey hai jinho ne Bina Kisi rishtey ke hamari madad ki or mei ne apni family ko dukh puhanchaya yeh kah ker Muskan roney lagi sari behney or Jin agay badhey or Muskan ko galey laga liya Jin:is mei tumhari koi galti NAHI hai or tumhari Behan ko TU pata hi NAHI tha ke tum us rajkumar se payar kerti ho . Muskan ki tisry Behan :baba tikh Keh rehey hain ager mujhe pata HOTA TU mei hergiz rajkumar se shadi na kerti is ke Liye mujhe maaf ker do Muskan ne apni Behan ko maaf ker diya or usey galey laga liya donnon behney ab Khush thee sab ne Aiyna or Arshuman ka shukriya ada Kiya.