AIBookCraft

Chapter 5

Chapter 4

8 min read

Ifra ab Aiyna or Arshuman ke pass ATI hai or UN donnon ko apney saat mehal le ATI hai mehal mei ek bada sa dining table Laga HOTA hai jis per terha terha ke pakwan hotey hain . Ifra:tum donnon Kuch kha lo us ke baad mei tum donnon ko mehal ka toure kerwaon gi or koi bi tum donnon ko yaha Kuch bi NAHI kahey ga tum donnon achey se khao. Aiyna:ham kab tak yaha rhey gay ? Ifra:dakho mei ne badi mushkil se baba ko tum donnon ko kaide se Nikalne per Razi Kiya hai Lekin jald hi tum donnon ko yaha se nikalne ka koi na koi tarika mei dhond hi lon gi baba shaide is baat per kabhi Razi na ho ke tum donnon yaha se chaley Jao TU tum donnon ko thuda intazar kerna hoga. Arshuman:Lekin kitna intazar? Ifra:yeh TU mei NAHI janti .....tum khao na Kuch na Kuch ker Le gay . Arshuman:hamey galdi Kuch sochna ho ga . Aiyna:ager tum se NAHI HOTA TU ham khude hi Kuch soch ley gay . Ifra:tum donnon ko yaha se jane ki itni jaldi kiyon hai mei ne KAHA na Kuch sochti hon TU thuda time dey do or ager tum donnon ko marne ka ITNA hi shonk hai TU Jao . Arshuman:muje lagta hai ke Ifra tikh kah rehi hai hamey jaldbazi NAHI kerni chahiye. Is ke baad Aiyna or Arshuman Khana khane lag jate hain or Ifra UN donnon ko dakh rehi Hoti hai Khana khane ke baad wo teeno mehal ka toure kerne lagey Ifra Aiyna or Arshuman ke saat buhat Khush lagh rehi thi or UN ko mehal ke barey mein bata rehi thi Aiyna or Arshuman ko dakh ker waha ke servant boley :Arey yeh insan bahir kaise agaey or in ko aise mehal mein gomne ki ijazat kis ne dey di . second servant: badshah ne tum janti TU ho badshah apni bethi se jitna payar kerte hain or us ka KAHA taal NAHI sakte bas rajkumari ne khawahish ki or in ko bahir niklne ki ijazat deydi or ek spahi ko in donnon per nazer rekhne ko KAHA kaheen rajkumari ko nuksan na puhnchaden... Ifra:yeh tha hamara mehal batao kesa lega ? Arshuman:buhat acha. Ifra:TU phir Chalo ab ham valley ki sare kereyn gay Aiyna or Arshuman Ifra ke saat snake valley ki sare per chale jatey hain wahan unhon ne buhat sarey snakes dakhey Jo buhat big tall or wiggly they unhe snakes se thuda der bhi lagh reha tha Lekin unho ne apney DER per kabo parekha tha Kafi Raat ho gai thi snake valley ke toure ke baad wo teeno ek bagh mein bathey howe thay achanak ek bada SA snake Aya or us ne Ifra ko utha liya Ifra chalai :chodo muje muje niche utaro or snake bola:Chalo mere saat Kafi arsey ke baad tum mere haat ayi ho aise kaise chod don Aiyna or Arshuman ne bi snake se Ifra ko chodne ke Liye KAHA Lekin snake Ifra ko chodne ke Liye tayar hi NAHI tha Aiyna or Arshuman ne snakes se ladney ki kushish ki Lekin Bina hatyar ke wo Kuch bhi na ker pay snake ne UN donnon ko zagmi ker diya or khud waha se Ifra ko leker Chala gaya Aiyna or Arshuman wapise mehal puhanchey or spahi ne badshah ko bataya: badshah zafao raj Kumari ko utha ker le gaya hai or badle mein aap ka takht Chahta hai. Badshah:yeh kaya Keh rehey ho?us ki himat kaise hoi Meri bethi ko haat legane ki?tum KAHA they us waqt?jaldi se sab ko tayar kero ham rajkumari ko bachane jay gay . Spahi:(yeh wahi spahi tha jis ne Aiyna or Arshuman ko kaide mein Dala tha or is ka nam hai samo)ji Maharaj.yeh kah ker samo waha se Chala jata hai or sab fight ki tyari start ker detey hain ab Arshuman badshah se:hamey apni talwareyn wapis chahiye ham bi aap ki madad kereyn gay badshah UN donnon ki talwareyn wapise ker data hai or sab zafao snake se Ifra ko bachane ke Liye ek pahadi per ajatey hain . Zafao ne Ifra ko Banda howa hai or dusri tarf badshah or us ke saathi khadey howey hain . Zafao:ager Tumhe apni bethi chahiye TU apna takht muje dado or chup chap is valley se chaley jao yeh valley Meri hai or mei yaha ka raja hon tum yaha se dafa ho Jao. Badshah Ifra ke walid:or ager mei yaha se na jaon TU? Zafao Ifra ko pakhed ker :TU yeh tumhari bethi zinda NAHI rehey gi . Badshah:tum aisa Kuch bi NAHI kero gay tum merey dost thay is Liye meine Tumhe pichli galti per maaf ker ke Tumhe is valley mein rehne ki ijazat de di thi Lekin ab tum apni hed par ker rehey ho ager Meri bethi ko Kuch bhi howa TU mei Tumhe chodon ga NAHI. Yeh sun ker zafao or bi guse mei ajata hai or Ifra ki neck per apni rekhi hoi talwar ko tudha zore se dabata hai jis se Ifra ki neck se blood niklna start ho jata hai or Ifra Dard mein chalati hai:baba !! Zafao:kaya chahte ho apni bethi ki Zindagi ya phir yeh valley? Badshah:tum Ifra ko Kuch mat kerna Tumhe ye valley chahiye TU tum le lo or Meri bethi mujhe lota do.Zafao :buhat achey.Aiyna:hamey Kuch kerna chahiye. Arshuman:tum tikh kah rehi ho is waqt us snake ka dihan Sirf badshah or Ifra per hai ham dosri tarf se jatey hain or pichey se us per waar kereyn gay. Aiyna:tikh hai Aiyna or Arshuman waha se gum ker Zafao ke pichey aker khadey ho jatey hain or Ifra ko bachane ke Liye us per apni talwaroon se hamla ker datey hain Aiyna or Arshuman ke waar kertey hi Zafao Ifra ko chode ker Aiyna or Arshuman ki tarf palta or UN se fight start kerdi dosri tarf badshah or us ke spahi bi Zafao or us ke saat dosrey snakes per hamla kerne ke liye agey badhey Badshah ne aker apni bethi Ifra ko galey lega liya or Zafao se fight start kerdi badshah or Zafao ki Kafi zayada fight hoi wo donnon apni magical power se fight ker rehey thay or Zafao buhat zagmi ho Chuka tha Lekin phir bhi wo abhi tak fight ker reha tha Arshuman Ifra se:kaya tum tikh ho? Ifra: haa mei tikh hon tum donnon yaha se baghey kiyon nahi ?ITNA acha muka tha tum donnon ke pass wo bhi gawadiya tum donnon ne waise TU bada Keh rehey thay ke hamey Jana hai or ab muka Mila tha TU gay kiyon nahi? Aiyna:ham apni dost ko mushkil mei akeley kaise chode saktey thay . Itne mei unhon ne dakha ke Zafao ka waar badshah per bari pad reha hai or wo Badshah ko Marney Wala hai TU Ifra ,Aiyna or Arshuman agey badhey or Zafao ke waar ko rokh ker use zagmi kerke niche zamine per pankh diya badshah ke Kafi waar sehney ke baad Zafao Kafi kamzoor ho Chuka tha or Aiyna or Arshuman se fight ke baad TU us mei himat hi NAHI thi ke wo uth ker dubara fight ker sakey.ab sab wapis mehal agay or Zafao ko kaide mein dall diya gaya or us ke sare saathi fight mein hi mar gay thay. Badshah apni bethi ko Zafao se bachaney ke baad buhat Khush tha or Aiyna or Arshuman ki buhadery se Kafi mutasir bhi agli subha Badshah ne Aiyna or Arshuman ko apne darbar mein bolaya or Aiyna or Arshuman ka shukriya ada Kiya Badshah:tum donnon ne Meri bethi ko bachaney mein hamari madad ki us ke Liye shukriya. Arshuman:yeh TU hamara farze tha or waise bi Ifra ne hamey APNA dost mana tha TU us ki Jan bachana hamara farze tha . Ifra yeh baat sun ker buhat kush hoi . Badshah:ham sahi se tum donnon ki mehman nawazi NAHI ker sakey is ke Liye tum donnon se mazrat kertey hain or tum donnon se mehman nawazi ka ek muka mangtey hain. Arshuman:ham yaha NAHI ruk saktey hamey agey Jana hoga . Badshah:kiyon? Arshuman:ham donnon ek mission per hain. Badshah:kaisa mission? Aiyna or Arshuman badshah ko Jin or UN ki bethiyon ke barey mein batatey hain or Arshuman: hamey magical snow pond dondney Jana hi hoga . Badshah:kaya magical snow pond! Aiyna:ji haa! Badshah:Lekin wo TU buhat khaternak hai tum donnon kaise waha Jao gay? Aiyna:is map ki madad se baki Rasta tey Kiya hai agay bi ker Le gay . Arshuman:chahey jitni bi mushkil aey hamey sab ke dill TU Laney hi hon gay . Badshah:tikh hai Lekin mei tum donnon ko Kuch Dana Chahta hon Jo tum donnon ki madad kereyn ga.. yeh lo yeh magical pin hai ise tum magical snow pond per jis jagha rekho gay waha se ice water mein change ho jaey gi. Arshuman magical pin letey howey aap ka buhat shukriya.ab hamey ijazat dijiye. Badshah:tikh hai ham tum donnon ko is valley se bahir chode atey hain . Badshah, Ifra, Aiyna or Arshuman valley se bahir ajatey hain ab Arshuman or Aiyna Ifra se:tumhara shukriya tum ne hamari buhat madad ki . Aiyna:tum hamaisha hamari dost reho gi. Ifra or Aiyna ek dosrey ke galey Miley or waha se magical snow pond ke Liye Nikal gay.

✦ ✦ ✦
Play from here

Privacy choices

Optional analytics help us improve AIBookCraft. They stay off until you allow them. We still count anonymous page views, without cookies or an ID. Writing, sign-in, and checkout work either way.

Change this choice any time. Read our Privacy Policy.